Saturday 25 February 2012

Shayari

Din Salike Se Uga Raat Thikaane Se Rahi
dosti apni bhi kuch roz zamaane se rahi

chand lamhon ko hi banati hain musavir aankhen
zindagi roz to tasveer banane se rahi




Dekhna hai wo mujh par meharabaan kitana hai
Asliyat kaha tak hai aur gumaan kitana hai

[asaliyat = reality; gumaan = doubt]

Kya panaah deti hai aur ye zamin mujh ko
Aur abhi mere sar par aasamaan kitana hai

No comments:

Post a Comment