Wednesday 1 February 2012

GHALIB-JAGJIT





Dost Gham khari Mein Meri, Saa'i Farmayen ge Kya
Zakhm ke bharne Talak, Nakhun na Bhar awyen ge kya
Hazrat-e-Nasih Gar Aawyen Deeda-o-Dil Farsh-e-RAH
Koi Yeh to Samjha do, Akhir Samjhawen ge kya?
Gar Kiya Naaseh ne Ham ko Qaid achha yunn Sahii
Ye Junun-e-Ishq ke Andaaz Chhut Jaayen ge Kyaa
Khana Zaad-e-Zulf Hain, Zanjir se Bhaagen ge kyon
Hain Giraftaar-e-Vafaa, ZindaaN se Ghabarawen ge kyaa
Hai ab is Maa'more Mein Qaht-e-Gham-e-Ulfat Asad
Ham ne yeh Mana ke Dilli Mein Rehen, Khaawen ge Kya

No comments:

Post a Comment