Sunday 1 January 2012

Ghalib-2

waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
Aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona




kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona

[ jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN =
ashamed/
embarrassed ]




haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib'
jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona


[ haif = alas!, girah = one sixteenth of a yard,
girebaaN = collar ]

No comments:

Post a Comment