Friday 3 February 2012

Ghalib tweets AGAIN

"Zauq! Jo medresse ke bigre hue hain mulla Un ko maikhaane mein le aao sanwar jaayenge.

Zauq! Bring the mulla misled by a medressa To the tavern, it will correct his ways.)



"Lutf-e-mai tujh se kya kahoon, zahid Hai kambakht tu ne pee hi nahin
.


How do I describe, o priest, wine's joy to you? A drop has never passed your misbegotten lips.)



Kahan maikhana ka darwaza Ghalib aur kahan waaez Par itna jaante hain, kal wo jaata tha ke ham nikle.


(Where is the tavern door, Ghalib, and where the priest! But this I know: yesterday he entered as I was leaving.


Zahid sharaab peene de masjid mein baith kar Ya wo jagah bata de jahan par Khuda na ho



Pahunchi yahan bhi Shaikh wa Brahman ki guftagu Ab maikada bhi sair ke qaabil nahin raha.

No comments:

Post a Comment