Wednesday, 1 February 2012

GHALIB COLLECN.





dil hi to hai na sang khisht, dard se  bhar na aye kiun

royen ge hum hazzar baar, koi hamien sataye kiun

dair nahi harrum nahi, dar nahi astaan nahi

bethe hain pe rehguzer pe hum ghair hamien uthaye kiun


qaid e hayaat-o- band gham asal main dono ek hain

mout se pehle admi gham se nijaat paye kiun

haan wo nahi khida perast , jao wo bewafa sahi !

jis ko ho deen-o-dil azeez us ki gali mai jaye kiun

GHAALiB khasta k beghair kon se kaam band hain

royie zaar zaar kiya, kijye haaye haaye kiun


GHAALiB khasta k beghair kon se kaam band hain

royie zaar zaar kiya, kijye haaye haaye kiun









1. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

[ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]

2. ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

[ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]

3. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

[ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,
ashiya = things/items ]

4. hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

[ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]

5. mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

6. sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

[ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,
but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]

7. fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

[ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,
sahaba = wine, esp. red wine ]

8. nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

[ gumaaN = doubt, rashk = envy ]

9. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

[ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ]

10. aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

[ farebee = a fraud/cheat ]

11. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

[ hijr = separation ]

12. hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

[ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]

13. go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

[ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ]

14. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

[ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the
same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]








un k dekhe se jo a jati munh per ronaq

wo samajhte hain k beemar ka haal acha hai



dekhye paate hain buuton se kya faiz

ik berheman ne kaha hai k ye saal acha hai



hum ka maloom hai jannat ki haqeeqat lekin

dil k khush rakhne ko GAALIB ye khyaal acha hai




mere pukhta iradey meri taqdeer badlien ge

meri kismet mohtaj nahi hathon ki lakeeron ki





na kr hath ki lakeeron pe aitbaar
kismat unki bhi hoti hai jinke hath nhi hote








Hain aur bhi dunya main sukhnwae bht achey
kehte hain k GHALIB ka hai andaze-e-bayaan aur




daaim pada hua tery dar per nahi hoon mai

khaak aisi zindagi pe k pather nahi hoon mai


kiun gardish-e-madaam se ghabra na jaye dil

insaan hoon pyala-o-sagar nahi hoon mai


ya rab zamana mujh ko mitata hai kis liye

looh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hoon mai


had chahye saza main aqoobat k wasty

akhir gunahgaar hoon , kaafir nahi hoon mai


rakhtey ho tum kadam meri ankhon se kiun dariegh

rutbey main mehr-o-maah se kamter nahi hoon mai


Ghalib wazeefa khwar ho , do shah ko dua

wo din gaye k kehtey they nokar nahi hoon mai








dil-e-nadaan tujhe hua kiya hai

akhir is dard ki dua kiya hai


hum hain mushtaaq aur wo be-zaar hai

ya Elaahi ya maajra kiya hai


mai bhi munh mai zuban rakhta hoon

kaash poocho k muddaa kiya hai


jab k tujh bin nahi koi mojood

phir ye hangama ay Khuda kiya hai


Hum ko un se hai wafa ki Umeed

Jo nahi jantey k wafa kiya hai


haan bhala ker tera bahala hoga

aur darwaish ki sada kiya hai


jaan tum per nisaar karta hoon

mai nahi janta k dua kia hai


mai ne mana k kuch nahi Ghalib

muft hath aye to bura kiya hai









yaarab ! wo na samjhe hain na samjheNge meree baat
de aur dil unko, jo na de mujhko zubaan aur


abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar uskee hai kamaan aur



tum shahar mein ho to hameiN kya GHam ? jab uthenge
le aayenge baazaar se jaakar dil-o-jaan aur

harchand subak_dast hue but_shikanee mein
ham hain, to abhee raah mein hai sang-e-giraan aur



hai khoon-e-jigar josh mein dil khol ke rota
hote kaee jo deeda-e-khoonnaaba_fishaan aur


marta hoon is aawaaz pe harchand sar ud jaay
jallaad ko lekin wo kahe jaayain ki 'haan aur'



logon ko hai khursheed-e-jahaan taab ka dhoka
har roz dikhaata hoon main ik daagh-e-nihaan aur


leta, na agar dil tumhe deta, koee dam chein
karta, jo na marta koee din, aah-o-fuGHaaN aur


paate naheeN jab raah, to chaD jaate haiN naale
ruktee hai meree tab'a to hotee hai ravaaN aur



haiN aur bhee duniya meiN suKHanwar bohot achche
kehte haiN ki 'GHalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur






ye na thi hamari kismat k , wisaal-e-yaar hota

ager aur jeety rehty, yehi intizar hota


tery waady per jiye hum , tu ye jaan, jhoot jana

k khushi se mar na jaty , ager aitbaar hota


gham agercha haan kul hai , pe kahan bachien k, dil hai

gham-e-ishq ger na hota , gham-e-rozgar hota


kahun kis se main k kiya hai! shab-e-gham buri bala hai

mujhey kiya bura tha marna , ager ek baar hota!


hue mar k hum jo ruswa , hue kiun na gharq-e-darya

na kabhi janaza uth'ta , na kbhi mizaar hota


ye masaail-e-tasawuf , ye tera bayaan Ghalib

tujhe hum wali samajhtey , jo na bada khwar hota









dil-e-nadaan tujhe hua kiya hai

akhir is dard ki dua kiya hai


hum hain mushtaaq aur wo be-zaar hai

ya Elaahi ya maajra kiya hai


mai bhi munh mai zuban rakhta hoon

kaash poocho k muddaa kiya hai


jab k tujh bin nahi koi mojood

phir ye hangama ay Khuda kiya hai


Hum ko un se hai wafa ki Umeed

Jo nahi jantey k wafa kiya hai


haan bhala ker tera bahala hoga

aur darwaish ki sada kiya hai


jaan tum per nisaar karta hoon

mai nahi janta k dua kia hai


mai ne mana k kuch nahi Ghalib

muft hath aye to bura kiya hai









hazaron khwahishien aisi k her khwahish pe dam nikley

boht nikley mery armaan laiken phir bhi kam nikley


niklna khald se Adam ka suntey aye haun laiken

boht be-abroo , ho k tery koochey se hum nikley


mohabbat mai nahi hai farq jeeny aur marny ka

usi ko dekh k jeety hain jis kafir pe dam nikley


kahan mekhaney ka darwaza Ghalib! aur kahan waa-ez

per itna jantey hain,kal wo jata tha k hum nikley







ishq mujh ko nahi , wehshat hi sahi

meri wehshat teri shohrat hi sahi


kat'aa na kijiye ta'luq hum se

kuch nahi hai to adawat hi sahi


hum bhi to dushman nahi hain apney

ghair ko tujh se mohabbat hi sahi


apni hasti hi se ho , jo kuch ho

agahi ger nahi ghaflat hi sahi


hum koi tark-e-wafa karty hain

na sahi ishq . musibat hi sahi


yaar se chair chali jaye ASAD

ger nahi wasal to hasrat hi sahi




Elahi teri makhloq ka ajab ik tamasha dekha,

Chhalaktey jaam dekhey samandron ko pyasa dekha.

Ye kya majra hy apni to samaj main nhi aya,

Admi apni hi justju main ulajhta dekha.

Jin k haath thy khali wo masrof-e-zikr dekhay,

Haathon main liye tasbi-e-anmol waaiz ko bhatkta dekha.

Alhamd-u-Lillah ka matlab to samajh main aya,

Siraat-e-mostaqim k matlab pay Logon ko jagharta dekha.

Eiman bechtay hwy ADAM k betay dekhay,

HAVAA ki beti ko sar-e-bazar bikta dekha.

Kese dunya k makr-o-fraib se samjhota kr loon,

K in aankhon ne kitne jalte diyoon ko bhujta dekha.

Killing Master
02-04-2010, 01:38 AM
Har sham us se milne ki aadat c ho gai,

Phir Rafta Rafta us se Muhabt c ho gai,

Shayad ye taza taza judai ka tha asar,

Har shakal yak.ba.yak teri surat c ho gai,

Ek nam jhelmilane laga dil k taq par,

Ek yad jaise bais-e-rahat c ho gai,

Khud ko bana sanwar k rakhne ka shoq tha,

Phir apne ap se mujhe Wehshat c ho gai..
Killing Master
02-04-2010, 12:49 PM
Bayan har kisi se hijr-o-wisaal krty ho,

Q apna shahr men jeena muhaal krty ho?

Bichar k bhala milay hen musafir b?
Q apne ap ko yunhi nidhaal krty ho?

Suna hy woh b tumhen poochta hai aise hi,

Tum usky baray men jaise sawaal krty ho.

Woh aashnaei usay yaad hi na ho shayad,

Woh jis k naam pe sab
mah-o-saal krty ho"

Bohat aziz tha shayed woh iss liye 'Mohsin'

Bicharnay walay ka ab tak malaal kartay ho!








Ghalib

kaihtai ho, na dengay hum dil agar pada paya
Dil kahan gum kijie, hum nai muddua paya
Ishq se tabiat nai zeest ka maza paya
Dard ki dawa paye, dard bai dawa paya
Doustdare dushman hai, aitemade dil maloom
Aah be asar daikhi, nalah nar sa paya
Sadgi-o- purkari, baikhudi-o-hushaiari
Husn ko tagaful mein, jurat azma paya
Guncha phir laga khilne, aaj hum nai apna dil
Khun kiya hua daikha, gum kiya hua paya
Hale dil nahin maloom laikin is qadar maloom
Hum ne barha dhondha tum ne barha paya
Shore pande naseh ne zakham par namak chidka
Aap se koi pooche, tum ne kaya maza paya







Ghalib

Dil mera soze nihan se bai muha jal gaya

Atashe khamosh kai manind goya jal gaya

Dil mein zauqe wasle yar tak baqi nahin

Aag as ghar mein aisee lagi ki jo tha jal gaya

Mein adam se bhi parey hon' warna gafil!barha

Meiri aah astin se bal anqa jal gaya

Arz kijiai jo har andaishah ki garmi kahan

Kuch khayal aya tha wahshat ka ki sahra jal gaya

Dil nahin tugh ko dikhata warnah dagon ki bahar

Is chiragan ka, karon kya, farma jal gaya

Mein hon aur afsurdagi ki arzo Ghalib! Ki dil

Daikh kar tarze tapake ahle dunia jal gaya










shauq har rung raqeeb sar-o-saman nikla

qais tasweer ke pardey mein bhi uryan nikla


Zakham ne dad na di tngie dil ki ya rab!

Teer bhi seenai bismil se pur afshan nikla

Booye gul, nalai dil, doode chirage mahfil

Jo teri bazm se nikla so parishan nikla

Dile hasrat zadah tha maidai lazzat dared

Kam yaron ka baqadre lab-o-dandan nikla

Thi nau amooze fina, himmate dushwar pasand

Sakht mushkil hai ki, ye kam bhi asan nikla

Dil mein phir griye ne ek shore uthaya Ghalib

Aah! jo qatrah nah nikla tha, so toofan nikla






Shumare subahe margoobe bute mushkil pasand aya

Tamashaei bah yak kaf burdan sad dil pasand aya

Bafaize baidili naumedi jawed asan hai

Kashayash ko hamara uqdai mushkil pasand aya

Hawaai sair gul, aiena bemahri qatil

Ki andaze bakhon galteedan bismil pasand aya








Ghalib

Daher mein, nakshe wafa wajhe tasalli na hua

Hai ye wo lafz ki sharmindai mani na hua

Sabzai khat se tera kakule sar kash, na daba

ye zamurrad bhi, hareef dame afaye na hua

Mein ne chaha tha ki andohe wafa se chooton

Who sitamgar merai mernai pai razi na hua

Dil guzargahe khayale mai wo sagar hi sahi

Gar nafas jada-e-sar manzile taqwa na hua

Hon tere wada na karne mein bhi razi ki kabhi

Gosh minnat kasha gulbange tasalli na hua

Kis se, mahromia kismat ki shikayat kijiye

Hum ne chaha tha ki mar jayein, so wo bhi na hua

Mar gaya sadmai yak lab se Ghalib

Natwanee se hareef dame iesa na hua








Ghalib

Sataish gar hai zahid is qadar bage rizwan ka

Who ek guldastah hai hum bakhudon ke taqe nisiyan ka

Bayan kya kijeye baidad kawishhaye masgan ka

Ni her ek qatrai khoon danah hai tasbeeh marjan ka

Na aaye satwate qatil bhi mane, mere nalon ko

Liya danton mein jo tinka, hua reesha neestan ka

Dikhaonga tamasha, di agar fursat zamane ne

Mera her dage dil ek tukhm hai sarwe chiragan ka

Kiya aiena khane ka woh naksha tere jalwe ne

Kare jo partawe khursheed alam shabnamistan ka

Meri tamer mein, muzmir hai ek soorat kharabi ki

Huola barq-e-khirman ka, hai khoone garm dahkan ka

Uga hai ghar mein her so sabzai, werani tama shakir

Madar, ab khodne par ghass ke hai mere darban ka

Khamoshi mein nihan, khoon gashtah lakhon arzoain hain

Chirage murda hon, main be zuban gore gareeban ka

Hnooz ek partawe nakshe khayale yar baqi hai

Dide afsurda goya hujrai hai usuf ke zindan ka

Bagal mein gair ki aaj aap sote hain warnah

Sabab kaya, khuaab mein aakar tabassum haai pinhan ka

Nahin maloom, kis kis ka laho pani hua hoga

Qyamat hai shrik alodah hona teire masgan ka

Nazar mein hai hamari jadai rahe fana, ghalib!

Ki yeh shirazah hai aalam ke ajzaie parishan ka
Killing Master
02-04-2010, 01:13 PM
Ghalib

Mahram nahi hai to hi, nawahai raz ka

Yan warnah jo hijab hai, prdah hai saz ka

Range shikastah subhe bahare nazara hai

Ye waqt hai shguftane gulhai naz ka

Too aur sooai gair nazar hai tez tez!

Main aur dukh tari mazah hai daraz ka!

Sarfah hai zabte Aah mein mera, wo gar na main

Tumah hon eak hi nafse jaan gudaz ka

Hain baski, joshe badah se shisai uchal rahai

Her gosai bisat, hai sar shishah bad ka

Kawish ka dil kare hai taqazah kiye hai hunooz

Nakhun pai qarz us girah neem baz ka

Taraj kawishe game hijran hua Asad

Seenah ki tha dafeenai, guhar hai raz ka






Bazame shahenshah mein, ashaar ka daftar khula


Rakhiyo yarab! ye ganjenai gauhar khula

Shab huie, phir anjum rakhshandah ka manzar khula

Is takalluf se ki goya butkadai ka dar khula

Gar cheh hon deewana, par kiyon dost ka khaon faraib

Aastin mein dashnah pinhan, hath mein nashtar khula

Go na samjhon uski batein, go na paon uska bhaid

Par yeh kya kam hai ki, mujh se woh pari paikar khula

Hai khayale husn mein husne amal ka sa khayal

Khuld ka ek dar hai meri gore ke ander khula

Munh na khulnai par hai woh aalam ki dakha hi nahin

Zulf se badkar niqab us shokh ke munh par khula

Dar pak rahne ko kaha kah ke kaisa phir gaya

Jitne arse mein mera lipta hua bistar khula

Kiyon andhaire hai shabe gam? hai kiyon balaon ka nuzool

Aai udher hi ko rahey ga deedai akhter khula?

Kaya rahon gurbat mein khush, jab hua hwadis ka ye hal

Namah lata hai, watan se, namah bar aksar khula

Uski ummat mein hon main, maire rahain kiyon kam band

Waste jis shahei ke, Ghalib! gunbade bai dar khula






ghalib


Shab ke barqe soze dil se zahrai abre aab tah

Sholai jawwalah, her ek hlqai girdab tha

waan karam ko, uzre barish tha gina nageer kharam

Girye se yan, panbai balish kafe sailab tha

Waan khud aaraye ko tha moti pirone ka khayal

Yaan hujome ashk mein tare nigah nayab tha

Jalwai gul ne kiya tha waan chiragan aanjoo

Yaan rawan masgane chashme tar se khoone nab tah

Yaan sare pur shore, be khuabi se tah deewar jo

Waan woh farqe naaz, mahwe balise kamkhuab tha

Yaan nafas karta tha raushan shame bai khudi

Jalwai gul waan bisate suhbate ahbab tha

Farsh se ta arsh waan toofan tha mauje rang ka

Yaan zamin se aasman tak shokhtanka bab tha

Na gahan is rung se khoonabah tpkane laga

Dil zauqe kawishe nakhun se lazzat yaa b tha












Ghalib

Nalai dil mein shab andaze asar nayab tha


Tha sapnde bazme wasle gair, go baitab tha

Maqdame sailab se kaya nishat ahung hai!

Khanai aashiq magar saz sadaye aab tha

Nazishe aiyam khakaster nasheeni, kaya kahon

Pahloai andaishah, waqfe bistre sanjab tha

Kuch na ki apne junone narsane, warnah yaan

Zarrah zarrah rokashe khurshid alam tab tha

Qaf

Aaj kiyon parwah nahin apne aseeron ki tujhe

Kal talak tera bhi dil mehro wafa ka ta j tha

Yad kar woh din ki her ek halqah terai dam ka

Intezare seed mein ek deedai baikhuab tha

Main ne roka raat ghalib ko, woh gar na daikhte

Us ke seele girya mein, gardon kafe sailab tha.









Ghalib

Eik eik qatre ka mujhe daina pada hisab

Khoone jigar wadeeate masgane yar tha

Ab main hon, aur matame yak shahre arzo

Toda jo tum ne aienai, tamsal dar tha

Galiyon mein nash ko khinchai phiro ki maim

Jaan dadai hawai sare rahguzar tha

Mauje shrab daste wafa ka na pooch hal

Her zarrah misle johare taig aabdar tha

Kam jantai thai hum bhi game ishq ko, par ab

Daikha, to kam huai pah gam rozgar tha
Killing Master
02-04-2010, 01:19 PM
Baskih dushwar hai her kaam ka asan hona


Admi ko bhi moyassar nahin insan hona

Girya chahai hai kharabi mere kashane ki

Dar-o-diwar se tapke hai biyaban hona

Waye deewanagiye shauq, ki her dam mujhko

Aap jana udhar, aap hi hairan hona

Jalwah az baski taqazai nigah karta hai

Jo her aiena bhi chahey hai masgan hona

Ishrat qatalgah ahle tamanna mat pooch

Eid nazzarah hai shadheer ka uryan hona

Ley gai khak mein hum dage tamannai nishat

To ho aur aap bah sad runge gulsitan hona

Ishrate parai dil, zakhme tamanna khana

Lazzate raishe jigar, garqe namkdan hona

Kee mere qatl ke bad, us ne jafa se tauba

Hai, us zoude pashiman ka pashabman hona!

Haif, us char girah kapde ki qismat ghalib!

Jis ki qismat mein ho aashiq ka gariban hona










Ghalib

Dost, gam khuari mein meri saee farmawenge kaya

Zakham ke bharne talak nakhun na bad jainge kaya

Bai niyazi had se guzri, bandai parwer! kab talak

Hum kahenge hale dil aap farma denge kaya?

Hazrate naseh gar aawen, deda-o-dil farshe rah

Koi mujh ko ye to samjha do ki samjhawenge kaya

Aaj wa'n taig-o-kafan bandhe huai jata hon main

Uzar mere qatal kar ne woh ab lawenge kaya?

Gar gaya naseh ne hum ko qaid, achcha, yon sahi

Ye junone ishq ke andaz chut jawenge kaya?

Khanai zade zulf hain, zanjeer se bhagenge kiyon

Hain giraftare wafa, zindan se ghabrawenge kaya!

Hai ab is mamoorah mein qahte game ulfat, Asad

Hum ne mana dilli mein rahenge khawenge kaya











Ghalib

Hawas ko hai nishate kar kaya


Na ho meran to jine ka mazah kaya hai

Tajahul paishgi se muddua kaya

Kahan tak ai srapa naz kaya kaya

Nwazishhaie be jaan daikhta hon

Shikayathai rangin ka gila hai

Nigahe be muhaba chahta hon

Tgaful haye tamkin azman kaya

Faroge sholai, khas, yak nafas hai

Hawas ko pas namose wafa kaya!

Nafas mauje muhite baikhudi hai

Tgaful haye saqi ka gila hai

Dimage etre pairahan nahin hai

Game awargi haye saba kaya

Dil her qatrah hai saze ana al baher

Hum uske hai hamara poochna kaya

Muhaba kaya hai zamin idhar daikh

Shidane nigah ka khoon baha kaya!

Sun ai gar tagre jinse wafa! Sun

Shikaste qeemat dil ki sada kaya

Kiya kis ne jigar dari ka dawa?

Shakeebe khatire asiq bhala kaya

Ye qatil, wadaye sabr azman kiyon?

Ye kafir fitnai taqat ruba kaya!

Balai jaan hai Ghalib us ki her bat

Ibarat kaya, asharat kaya, ada kaya













Dar khore qaher-o-gazab, jab koi hum sana hua

Phir galat kaya hai ki hum sa koi paida na hua

Bandagi mein bhi who azadah wo khud bin hai ki hum

Ulte phir aye, dare kaba agar wa na hua

Sab ko maqbool hai dawa teri yaktai ka

Robaro koi bute aiena seema na hua

Kam nahin nazish hunami chashm khoban

Tera bimar, bura kaya hai, gar achcha na hua

Seene ka dag hai, woh nalah kab tak na gaya

Khak rizq hai, woh qatrah ki dariya na hua

Nam ka mere hai jo dukh ki kisi ko na mila

Kam mein mere hai, jo fitna ki barpa na hua

Her bine mo se dame zikr na tapke khonab

Hamzah ka qissa hua, ishq ka charcha na hua

Qatre mein dariya dikhai na de aur juzo mein kul!

Khail ladjon ka hua, dedai bena na hua

Thi khabar garm ki Ghalib ke udenge purze

Daikhne hum bhi gai thai, pa tamasha na hua
Killing Master
02-04-2010, 01:44 PM
Derde minnat kashe dawa na hua


Main na achcha hua bura na hua

Jama kerte ho kiyon raqeebon ko

Ek tamasha hua, gila na hua

Hum kahan kismat azmane jaein

To hi jab khanjar azma na hua



Kitne shiren hain tere lab ke raqeeb

Galiyan kha ke be maza na hua

Hai khabar geem un ke ane ki

Aaj hi ghar mein boriya na hua

Kaya woh namrood ki khudaie thi?

Bandagi mein mera bhala na hua

Jaan di, di huie usi ki thi

Haq to yon hai ki haq ada na hua

Zakhm gar dab gaya, laho na thama

Kaam gar ruk gaya, rawa na hua

Rahzani hai ki dil satani hai?

Le ke dil dil sitan rawa na hua

Kuch to padiye ki log kahte hain

"Aaj Ghalib gazak sara na hua
Killing Master
02-04-2010, 02:12 PM
LIFE OF GHALIB

i hope u will like










Ghalib...
Mirza Asadullah Khan "Ghalib" is one of the best of the Urdu poets. He led a revolution in Urdu poetry with his words. According to the critic Aal Ahemd Sarvar "Ghalib gave brain to our poetry which was till then dominated by the people of heart."
Ghalib used to have takhallus (pen name) of 'Asad' but he listened to this sher

Asad us jafaa par butoN say wafaa ki
me-ray sher shabaash rahmat kHuda ki

He said whose sher is this should get lots of rahmat of God but if it is mine then lots of laanat on me, and he changed his takhallus to 'ghalib'
Killing Master
02-04-2010, 02:13 PM
The beginning...

He was born in 1796 in Akbarabad (present Agra). His father Abdullah Beg Khan and Uncle Nasrullah Beg Khan were in the Army. Mirza Ghalib become orphaned when he was just 5 years old. He lived with his uncle for 4 years, when his uncle too died.

He started saying sher in Agra itself. He married the daughter of Nawab Ilahi Baksh 'Maaroof' and therefore moved to Delhi. In Delhi he devoted his full concentration to poetry. Soon he mastered the Persian language. So that no one should call him be-ustad ( without a teacher) he fabricated a story that he had an Iranian teacher Abdul-samad live in house for two years to teach him Farsi. Ghalib was always proud of his Farsi poetry but he is known more by his Urdu prose and poetry
Killing Master
02-04-2010, 02:14 PM
Life...
.........
He always lived his life lacking money. After 1857 the support from the Royal durbar stopped. The pension from the British Govt. was stopped because he was suspected of supporitn the rebels. He even traveled to Calcutta to restart the pension but to no avail.
He went to the Nawab of Rampur, who promised him Rupees 200 if he lived in Rampur and Rs. 100 if he lived anywhere else. His pension was resumed 3 years after that, but all that money was used up for paying old debts. Ghalib died in 1869.
Killing Master
02-04-2010, 02:15 PM
Letters...
....




Not only Urdu poetry but the prose is also indebted to Mirza Ghalib. His letters gave foundation to the easy and popular Urdu. Before Ghalib, letter writing in Urdu was highly ornamental. He made his letters "talking" by using words and sentences as if he is talking to the reader. According to him
"sau kos say ba-zabaan-e-qalam baateiN kiya karo aur hijr meiN visaal kay ma-zay liya karo"
[ from hundred of miles talk with the tongue of the pen and enjoy the joy of meeting even when you are separated]
His letters were very informal, some times he will just write the name of the person and start the letter. He himself was very humerous and also made his letter very interesting. He said
"maiN koshish karta hooN keH koi aisi baat likhooN jo pa-Rhay kHoosh ho jaaye"
[ I want to write the lines that whoever reads those should enjoy it]
When the third wife of one of his friends died, he wrote...
"***** ***** aik woH log haiN jo teen teen dafaH iss qaid say chhooT chu-kaiN haiN aur aik hum haiN keH aik ag-lay pachas baras say jo phaNsi ka phaNda ga-lay meiN paRha hai to naH phaNda hi TuT-ta hai naH dum hi nikalta hai"
[***** *****, there are some among us who have been freed from the prison three times and I have for the past 50 years this rope around my neck neither this rope breaks nor it takes my life]
Some scholars says that Ghalib would have the same place in Urdu litterature even only on the basis of his letters
Killing Master
02-04-2010, 02:16 PM
Poetry.............

In Urdu ghazals, along with the love and beauty Ghalib added all the facets of life. Because of him the canvas of Urdu ghazal became very extended.

Since Ghalib was very occuppied with Persian , his earlier shers used difficult words and his flights of imagination was such that...
"yaa to aap sam-jhay yaa kHuda sam-jhay"
[ either you (Ghalib) understand or the God understand]

Ghalib was not a philospher but he questioned things around him.
jub keH tujh bin nahiN koi maujood
phir yeH hungaamaH ai kHuda kya hai
[ when there is no one besides you;
then oh God why is this pandemonium]

One also find naughtiness in his writings, he makes fun of every thing and evreybody including himself.
jiss meiN laakhoN baras ki hooreiN hoN
aisi jannat ka kya ka-ray koi
[ when the women are million years old
what i will do with that paradise]

But Ghalib's sher not only have immediate effect on the heart but it makes you think too.
aah ko chahiye aik umr asar ho-nay tak
kaun jeeta hai teri zulf kay sar ho-nay tak.

hum nay mana keH tagHaful naH karo-gay lekin
kHaak ho jaaayeN-gay tum ko kHabar ho-nay tak.

daame hur mauj meiN hai hulqa-e-sad kaam nihaNg
dekheiN kya guz-ray hai qat-ray peH guhar ho-nay tak
Killing Master
03-04-2010, 07:21 PM
Mane dashte nawerdi koi, tadbeer nahin


Eik chakker hai mere paon mein zanjeer nahin

Shauq us dasht mein daudaein hain ki jahan

Jadahai, gair az nigah deedai rasweer nahin

Hasrate lazzate azaar rahi jati hai

Jadai rahe wafa juzdame shamsheer nahin

Runj naumeediye jawed! Gawarah rahiyo!

Khosh ho ger nalah zabooni kasha taseer nahin

Ser khujata hai jhan zakhme ser achcha ho jaye

Lazzate sung bah andazai taqreer nahin

Jab karam rukhsate baibaki-o- gustakhi de

Koi taqseer bajuz khijlate taqseer nahin

Ghalib apna ye aqeedah hai baqaule nasikh

Aap be bahrah hai, jo motaqide meer nahin
Killing Master
03-04-2010, 07:22 PM
Mat merdumake dedah samjho yeh nigahein


Hain jama soaidaye dil chashmein aahein
Killing Master
03-04-2010, 07:22 PM
Ber shegale giryai aashiq hai daikha chahiye


Khul gaie maninde soja se deeware chaman

Ulfate gul se ghlata hai dawai waristagi

Serwo hai bawasfe azadiye giraftare chaman
Killing Master
03-04-2010, 07:23 PM
Ishe tseer se naumeed nahin


Jaan sapari shajrai baid nahin

Saltanat dast badast aayee hai

Jame mai khatime jamshaid nahin

Hai tajalli teri samane wajood

Zarrah be pertawe khursheed nahin

Raze mashook na ruswa ho jaai

Wernah mer jane mein kuch bhaid nahin

Gerdishe rung tarab se der hai

Ghame mahroomiae jawed nahin

Kahte hain jeete hain ummeed pe log

Hum ko jeene ki bhi ummeed nahin
Killing Master
03-04-2010, 07:24 PM
Jahan tera naqshe qadam daikhte hain


Khaiaban khaianban iram daikhte hain

Dile aasheftgan, khale kunje dahen ke

Soaida mein saire adam daikhte hain

Tere serwe qamat se ek qadde aadam

Qyamat ke fitne ko hum daikhte hain

Tamashah ki aimahwe aiena dari!

Tujhe kis tamanna se hum daikhte hain


Suraghe tafe nalah, le daghe dil se

Ki shab roka naqshe qadam daikhte hain

Bana ker faqeeron ka hum bhaisGhalib!

Tamashaye ahle karam daikhte hain
Killing Master
03-04-2010, 07:24 PM
Milti hai khooai yaar se naar, ilteahb mein


Kafir hon ger na milti ho rahat azaab mein

Kab se hon, kaya btaon jahane khrab mein

Shab haai hijr ko bhi rakhon ger hisab mein

Ta phir na intezar mein neend aaye ta umr bher

Aane ka ahed ker gai, aye jo khuab mein

Qasid ke aate aate, khat ek aur likh rakhon

Main janta hoon jo woh likhein gey jawab mein

Mujh tak kab un ki bazm mein aaya tha daure jaam

Saqi ne kuch mila na diya ho shrab mein

Jo munkire wafa ho, faraib us pe kaya chale

Kion badguman hon dost se dushman ke bab mein

Main muztarib hon wasl mein khaufe raqeeb se

Dala hai tum ko wahm ne kis paich-o-tab mein

Main aur haze wasle, khuda sa zabat hai

Jaan nazer daini bhool gaya izterab mein

Hai teuri chadi huie ander neqab ke

Hai ek shikan padi huie terfe neqab mein

Lakhon lgao eik churana nigah ka

Lakhon bnaao eikbigadna ataab mein

Woh nalah dil mein khas ke braber jagah na paai

Jis nale se shegaf pade aaftaab mein

Woh sahre muddua talabi mein na kam aai!

Jis sher se safeena rawan ho srab mein

Ghalib !chuti Shrab, per ab bhi kabhi
Killing Master
03-04-2010, 07:25 PM
Kal ke kiye, ker aaj nah khast shrab mein


Ye sozan hai saqiye kouser ke bab mein

Mein aaj kiyon zalil ki kal na thi pasand

Gustakhi farishtah hamari janab mein

Jaan kiyon nikalne lagti hai tan se dame sma

Ger woh sada samayee hai chung-o-rubab mein

Rau mein hai rakhshe umr, kahan daikhiye thame

Ne haath baag per hain na pa hai raqab mein

Itna hi mujh ko apni haqeqat se bod hai

Jitan ki wahme ghair se hoon pach-o-tab mein

Asle shhood-o-shahid-o-mashhood eik hai

Hairan hon phir mushahidah hai kis hisab mein!

Hai mushtamil namoode soor per wajoode baher

Yan kaya dhra hai qatrah-o-mauj-o-hubab mein

Sherm ek adaye naaz hai apne hi se sahi

Hain kitne be hijab ki hain yon hijab mein

Aaraishe jamal se farigh nahin hunooz

Paishe nazar hai aiena daim neqab mein

Hai ghib ghai jis ko samajhte hain hum shhood

Hain khuabmein hunooa, jo jage hain khuab mein

Ghalib nadeeme dost se aati hai boai dost

Mashghoole haq hon, bandagiye boturab mein
Killing Master
03-04-2010, 07:26 PM
hairan hon dil rouon kih peeton jiger komain


maqdoor hoto sath rakhon nauhager ko main

choda na rashk ne ki tere gherka nam loon

her ek se poochta hon ki jaon kidher ko main?

Jana pada raqeeb ke der per mujhe hazar

Ai kaash !janta na tere rahguzer ko main

Hai kaya jo kas ke bandhe meri bladre

Kaya janta nahin hon tumhari kamer ko main

Lo woh bhi kahte hain ki wo be nanag-o-naam hai

Ye janta ager, to lutata na gher ko main

Chalta hon thodi door her ek taiz roo ke sath

Pahchanta nahin hon abhi rahber ko majn

Khuahish ko ahmaqon ne ne perastish diya qarar

Kaya pojta hon us bute baidad ger ko main?

Phir baikhudi mein bhool gaya rah koye yaar

Jata wager nah eik din apni khaber ko main

Apne pe ker rah hon qyas ahle daher ka

Samjha hon dil pazeer mataye hunar ko main

Ghalib ! khuda kere kih saware samande naaz

Daikhon ali bahar dare aali guher ko main
Killing Master
03-04-2010, 07:31 PM
Zikr mera, bah badi bhi use manzoor nahin


Ghair ki baat bigad jaye to kuch door nahin

Wadai saire gulistan hai khusha tale shauq

Mazdai qatl muqadder hai jo mazkoor nahin

Shahide hastiye mutlaq ki kamer hai aalam

Loog kaite hain ki hai, per hamein manzoor nahin

Qatrah apna bhi haqeeqat main hai dariya laikin

Hum ko taqleede tanak zerfiye mansoor nahin

Hasrat ai zauqe khrabi! Kih woh taqat na rahi

Ishq per arbdah ki gon tane rajoor nahin

Main jo kahta hon main longa qayamat mein tujhe

Kis raoonat se woh kahte hain ki hum hoor nahin

Zulm ker zulm, agr lutfe daregh aata hai

To taghaful mein kisi rung se mazoor nahin

Saaf durdi kashe paimanai jam main hum loog

Waai ! woh badai kih afshurdai angoor nahin

Hon zuhoori ke muqabil mein khafayee Ghalib

Mere dawe pe yeh hujjat hai kih mashhoor nahin
Killing Master
03-04-2010, 07:32 PM
Nalai juz husn talab, ai sitam ijad nahin
Hai taqazai jafa, shikwai baidad nahin
Ishq-o-mazdoori asher taghe khusro, kaya khoob!
Hum ko tasleem nako naami ferhad nahin
Kum nahin woh bhi khrabi mein, pe usat maloom
Dasht mein hai mujhe woh aish kih gher yaad nahin
Ahle maktab ko hai toofane hawadis maktab
Latmai mauj kam az saile ustad nahin
Waai ! mahroomia tasleem wabda! Haale wafa
Janta hai ki hamein taqate fariyad nahin
Runge tamkin gul-o-lalah, parishaniyon hai
Ger chiraghan sare rah guzare bad nahin
Sabad gul ke tale band kare hai gulchein
Mazdah, ai murgh! Kih guzar main sayyad nahin
Nafi se kerti hai isbat trawish goya
Di hi jame dahen usko dame ijaad nahin
Kam nahin jalwah gari mein tere koche se bahisht
Yahi naqshah hai wale is qader abad nahin
Kerte kis munh se ho ghurbat ki shikatyat Ghalib!
Tum ko be mohri yaarane watan yaad nahin!
Killing Master
03-04-2010, 07:35 PM
Dono jahan de ke woh samjhe ye, khush raha


Yan aapadai hai ye sherm ki takrar kaya karien

Thak thak ke her muqam pe do char rah gai

Tera patah na payein, to nachaar kaya kare!

Kaya shama ke nahin hain hua khuah ahle bazam!

Ho gam hi jaan gudazmto ghakhuar kaya kare
Killing Master
03-04-2010, 07:36 PM
Ho gayee hai ghair ki sheerien bayani kar ger

Ishq ka us ko guman hum be zabanon per nahin
Killing Master
03-04-2010, 07:39 PM
Qyamat hai ki sun laila ka dashte qais mein aana


Taajjub hai woh "yon bhi hota hai zamane mein!"

Dile nazuk pe us ko rahem aata hai mujhe Ghalib!

Na ker ser germ us kafir ko ulfat aazmane mein
Killing Master
03-04-2010, 07:42 PM
Dil laga ker, lug gaya un ko bhi tanha chodna

Bare, apni baikasi ki hum ne payee dadiyan

Hain zawal aamadai ajza aafrinash ke tamam

Maher gerdon hai, chiragh rahguzaare badiyan
Killing Master
03-04-2010, 07:44 PM
Ye, hum jo hijr mein, deewar-o-der ko daikhte hain

Kabhi saba ko kabhi namah ber ko daikhte hain

Woh aaye gher mein hamari khuda ki qudrat hain!

Kabhi hum un ko kabhi apne gher ko daikhte hain

Nazar lage na kahin us ko dast-o-bazo ko

Ye log kiyon mere zakhme jiger ko daikhte hain

Tere jawaher terfe kulah ko kaya daikhein!

Hum auje tale lal-o-guher se daikhte hain
Killing Master
03-04-2010, 07:45 PM
Nahin ki mujh ko qayamat ka aiteqad nahin
Shabe firaq se roze jaza ziyad nahin
Koi kahe ki shabe mah mein kaya burayee hai
Bala se aaj ager din ko abro bad nahin
Jo aaon samne un ke to merhaba na kahein
Jo jaon wan se kahin ko to khai bad nahin
Kabhi jo yaad bhi aata hon main to kahte hain
Ki aaj bazam mein kuch fitna-o-fasad nahin
Alawah eid ke milti hai aur din bhi shrab
Gadaye koocha, maikhanah na murad nahin
Jahan ho shdi-o-gham bahem hamein kaya kaam
Diya hai hum ko khuda ne woh dil ki shad nahin
Tum un ke wade ka zikr un se kiyon kion karo ghalib!
Ye kaya ki tum kaho aur woh kahien ki "yaad nahin"
Killing Master
03-04-2010, 07:45 PM
Tere to sun ko saba bandhte hain
Hum bhi mazmon ki hawa bandhte hain
Aah kisne aser daikha hai!
Hum bhi ek apni hawa bandhte hain
Teri fursat ke muqabil, ai umar
Berq ko pa ba hena bandhte hain
Qaide hasti se rihayee maloom
Ashq ko be ser-o-pa bandhte hain
Nashai rung se hai washide gul
Must kab bande qaba bandhte hain
Ghalti haye muzamein mat pooch
Log nale korasa bandhte hain
Ahle tadbeer ki wamandgiyan!
Ablon per bhi hena bandhte hain
Sadah pur kar hain khoban ghalib!
Hum se paimane wafa bandhte hain
Killing Master
03-04-2010, 07:46 PM
zamanah sakht kum aazar hai bajan Asad

wger na hum to tawaqqo zyaad rakhte hain
Killing Master
03-04-2010, 07:46 PM
Sab kahan kuch lala-ogul mein numayan ho gaien
Khak mein, kaya sooratein hongi jo pinhan ho gaien
Yaad thin hum ko bhi runag rung bazma aaraiyan
Laikin ab naqsh-o-nigare taaq nisiyan ho gayein
Thin banat-un-nash gerdon din ko perde mein nihan
Shab ko un ke ji mein kaya aayee ki uriyan ho gaien
Qaid main yaqqoob ne na lee go na usuf ki khber
Laikin aankhien rauzan deware zindan hogaien
Sab raqeebon se hon nakhush, per zanane misr se
Hai zulaikha khush kih mahwe maahe kanaan ho gaien
Joai khon aankhon se bahne do ki haishame firaq
Main yeh sajhonga kih shamien do farzan ho gaien
I parizadon se lemgey khuld mein hum inteqam
Qudarate haq se yahi hoorien, agerwan ho gaien
Neend uski hai, dimagh uska hai ratein uski hain
Teri zulfien jis ke bazoo per parishan ho gaien
Main chaman mein kaya gaya, goya dabistan khul gaya
Bulbhlien sun sun ker mere nale ghzal khaun ho gaien
Woh nigahien kiyon huie jaati hain yaarab! Dil ke par
Jo meri kotahi qismat se masgan ho gaein
Bas kih roka main ne, aur seene mein ubhrien pai bah pai
Wan gaya bhi main, to un galiyon ka kaya jawab!
Yaad thi jitni duaein serfe derban ho gaein
Janfaza hai badah jis ke hath mein jaam aa gaya
Sab lakirien hath ki goya ragien jaan ho gaien
Hum to mohhid hain, hamar kaish hai terke rasoom
Miltien jab mit gaien, ajzaye iman ho gaien
Runj se khoger hua insan to mit jata hai runj
Mushkilein mujh per padien kih asan ho gaien
Yon hi ger rota raha Ghalib, to ai ahle jahan
Daikhna in bastiyon ko tum kih weeran ho gaein
Killing Master
03-04-2010, 07:50 PM
Arze niyaz ishq ke qabil nahin raha
Jis dil pe naaz tha mujhe woh dil nahin raha
Jata dage hasrate hasti liye huai
Hon shamae kushtah, der khore mahfil nahin rha
Merne ki ai dil ! aur hi tadbeer ker ki main
Shayane dast-o- bazuai qatil nahin raha
Brooe shash jihat dare aiena baz hai
Yan imtiyaze naqis-o-kamil nahin raha
Wa ker diye hain shauq ne bnde neqabe husn
Gair az nigah, ab koi hail nahin raha
Go main raha raheene sitamhaye rozgar
Laikin tere khayal se gafil nahin raha
Dil se hawa ki kishte waea mit gayee wahan
Hasil sewai hasrate hasil nahin raha
Baidade ishq se nahin darta magar Asad!
Jis dil pe naaz tha mujhe who dil nahi raha
Killing Master
03-04-2010, 07:52 PM
Rashk kahta hai ki, uska kagair se akhlas haif!


Aqal kahti hai hai ki, woh be muhre kis ka ashna!

Zarrah zarrah sagar maikhani neerung hai

Gardishe majnon bah chshmak haye lila ashna

Shauq hai saman ter az nazish arbab ajz

Zarrah sahra dast gah-o-qaterah dariya ashna

Mein aur eik afat ka tukda woh dil wahshi kih hai

Aafiyat ka dushman aur awargi ka ashan

Shikwah sanj rashk hum deegar nah rahna chahiye

Mera azano monis aur aienai tera ashan

Kohan naqash yak tamsal sheerin tha, Asad!

Sung se ser mar kar, huai na paida ashna
Killing Master
03-04-2010, 07:52 PM
Zikr us pari wash ka, aur phir bayan apna


Man gaya raqeeb aakhir, tha jo razdan apna

Mai woh kiyon bazm gair mein yarab!

Aaj hi un ko hua manzoor un ko imtehan apna

Manzar ek bulandi par aur hum bna sakte

Arhs se edhar hota, kash ke mkan apna!

De who jis qadar jillat hum hansi mein talenge

Bare ashna nikla, unka pasban apna

Derde likhon kab tak jaon un ko dikhla don

Ungliyan figar apni, khamah khonchkan apna

Ghiste ghiste mit jata, ap ne abas badla

Nanuge sajdah se mere sung aastan apna

Ta kare na gammazi, kar liya hai dushman ko

Dost ki shikyat mein hum ne humzuban apna

Hum khan ke dana the, kis hunar meim yakta they

Be sabbab hua Ghalib dushman asman apna
Killing Master
03-04-2010, 07:53 PM
Surmai mufte nazar hon, meri qismat hai yahi


Ki rahai chashme kharidar pe ahsan mera

Rukhsate nalah mujhe de ki mubada zalim!

Tere chehre se ho zahir game pinhan mera
Killing Master
03-04-2010, 07:54 PM
Gafil, bah wahem naaz khud ara hai warna yan


Be shanai saba nahin turrah giyah ka

Bazme qdah se aish tamanna na rakh ki rung

Said zadam jastah hai is damgah ka

Rahmat agar qabool kare, kaya baeed hai

Sharmindagi se uzr na karna gunah ka

Maqtal ko kis nigah se jata hon mein ki hai

Pur gul khaiale zakham se daman nigah ka

Jaan dar hawai yak nigah garam hai, Asad!

Parwanah hai wakeel tere dad khuah ka
Killing Master
03-04-2010, 07:55 PM
jaur se baz ayeper baz aiem kaya!
Kahte hain, hum tujh ko munh dikhai kaya
Rat din gardish mein hain sat aasma
Ho rahe ga kuch na kuch, ghabraein kaya!
Lag ho, usko hum samjhein ge lagau
Jab na ho kuch bhi, to dhoka khaein kaya
Ho liye kiyon namah bar ke sath sath
Yaa rab! Apne khat ko hum pahonchaein kaya!
Mauje khoon ser se guzer hi kiyon na jaay
Aastane yaar se uth jaein kaya!
Umr bher daikha kiya merne ki raah
Mer gai phir daikhiye dikhlayen kaya!
Poochte hai woh ki, Ghalib kaun hain?
Koi batlawe ki hum batlaein kaya!
Killing Master
04-04-2010, 12:08 AM
Latafat be ksafat jalwah paida ker nhin sakti
Chaman, zangar hai aeinai bade bahari ka
Harrefe joshishe dariya, nahin khuddar-e-sahil
Jo saqi ho to, batil hai dawa hoshiyari ka
Killing Master
04-04-2010, 12:09 AM
Ishrate qatrah hai, dariya mein fana ho jana
Derd ka had se guzarna hai dawa ho jana
Tujh se qismat mein reri soorate qafle abjad
Tha likha, baat ke bante hi juda ho jana
Dil hua kash makash charai zahmat mein tamam
Mit gaya ghisne mein is uqdey ka wa ho jana
Ab jafa se bhi hain mahroom hum ***** *****!
Is qader dushmane arbabe wafa ho jana!
Zof se giryah mubaddil bah dam serd hawa
Bawer aaya hamein pani ka hawa ho jana
Dil se mitna teri angusht hinaee ka khayal
Ho gaya gosht se nakhun ka zuda ho jana
Hai mujhe abre bahari ka baras ker khulna
Rote rote game furqat mein fana ho jana
Gar nahin nikhate gul ko tere koche ki hawas
Kiyon hai girde rahe jolane saba ho jana
Bakhshe hain jalwai gul joshe tamasha Ghalib!
Chashm ko chahiye her rang mein wa ho jana
Taki tujh per khule ajaz hawai saiqal
Daikh bersatmein sabz aiene ka ho jana
Killing Master
04-04-2010, 12:10 AM
Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab
De bate mai ko dil-o-doste shana, mauj-e-shrab
Pooch mat wajhe seeyah masti arbabe chaman
Sayai taak mein hoti hai mauj-e-shrab
Jo hua gurqai mai, bakhte rasa rakhta hai
Ser se guzre bhi yeh bal huma mauj-e-shrab
Hai yeh barsat woh maosam ki ajab kaya hai agar
Mauje hasti ko, faize hawa mauj-e-shrab
Char mauj uthti hai toofan-e-tarabse her soo
Mauj-e-gul, mauj-e-shafaq, mauj-e-saba, mauj-e-bahar
Jisqadar rooh nabati hai jigar tashanai naaz
De hai taskee'n ba dam aabe baqa mauje shrab
Baski daudey hai rag-e-tak mein khoon hoho ker
Shahpar-e-rung se hai bal kusha mauj-e-shrab
Maujai gul se chiraqgan hai guzar gah-e-khayal
Hai tasauor mein zabis jalwah numa mauj-e-shrab
Nashe ke perde mein hai mahwe tamashai dimag
Baski rakhti hai sere nash-o-hum mauj-e-shrab
Eik alam pe hai toofani kaifiyat fasal
Maujai sanzai hasti hai zahe mausame gul!
Rahbare qatrah badariya hai, khusha mauj-e-shrab!
Hosh udte hain mere jalwai gul daikh Asad!
Phir hua waqt ki ho bal kusha mauj-e-shrab
Killing Master
04-04-2010, 12:10 AM
Afsos ki dedan ka kaya rizq falak ne
Jin logon ki thi der khoore aqde guher angush
Kafi hai nishani tere challe ka daina
Khali mujhe dikhla ke bwaqt-e-safer angusht
Likhta hon Asad! sozish-e-dil se sukhan-e-germ
Ta rakh na sake koie mere herf per angusht
Killing Master
04-04-2010, 12:11 AM
Rha ger koi ta qyamat slamat
Phir ek roz merna hai hazrat slamat!
Jigar ko mere, ishq khonaba mashrab
Likhe hain khudawand namat!slamat
Aler ragm-e-dushman shheed-e-wafa hon
Mubarak mubarak slamat slamat
Nahin ger ser-o-berg edrak mani
Tmashai neerung-e-soorat slamat
Killing Master
04-04-2010, 12:13 AM
mun gaien kholte hi kholte ankhein Ghalib!


Yar laye meri balin pe use phir kis waqt
Killing Master
04-04-2010, 12:14 AM
Amade khat se hua hai serd jo bazare dost
Doode shama kushtah tha, shayed khte rukhsare dost
Ai dile na aqibqt andaish !zabte shauq ker
Kaun la sakta hai tabe jalwai dedare dost
Khanai weran sazi-e-hairat tmasha kijiye
Soorate naqshe qadam, hon raftai raftare dost
Ishq mein badae rashke gair ne mara mujhe
Kushtai dushman hon akhir, ger che tha bemare dost
Chashme ma raushan, ki us baiderd ka dilshad hai
Dedai pur khoon hamara, sagare sershar dost
QAF
Gair yon karta hai meri pursish, us ke hijr mein
Bai takalluf dot ho jaide koi gamkhuare dost
Taki main janon ki uski rasaie wan talak
Mujh ko daita hai payame wadai deedare dost
Jab ki main kerta honapna shikwai zofe dimag
Ser kare hai who hadeese zulf anber bare dost
Chupke chupke mujh ko rote daikh pata hai, ager
Hans ke karta hai bayan shokhiye guftare dost
Mehr bani haye dushma ki shikayt kijiye
Yan byan kijiye sapase lazzate azare dost
Ye gazal apni mujhe ji se pasan ati hai aap
Hai radeefe shair mein, Ghalib!az bas takrare dost
Killing Master
04-04-2010, 12:15 AM
Gulshan mein band-o-bast brunge digger hai aaj
Qumri ka tauq, halqai bairoon der hai aaj
Aata hai ek parai dil her fugan ke sath
Tare nafas, kmnde shikare aser hai aaj
Ai afiyt kinarah ker, ai intezam chel
Sailabe giryah derpai deewr-o-der hai aaj
Killing Master
04-04-2010, 12:16 AM
lo hum mareeze ishq ke beemar dar hain


achcha agar na ho to masseha ka kaya ilaj
Killing Master
04-04-2010, 12:16 AM
Nafs na anjumane arzo se baher kheench
Agar shrab nhin, intezare sagat kheench
Kmal-e-germi saee tlashe deeda na pooch
Barung khar mere aiene se jauher kheench
Tujhe bhanai rahat hai intezar ai dil
Kiya hai kis ne isharah ki naaze bister kheenh
Teri taraf ai ba hasrat nazarai nergis
Bah kori dil-o-chashm raqeebe sagar kheench
Ba neem gamzah ada ker haqe wadeate naaz
Neyam perdai zakhme jigar se khanjer kheench
Mere qdah mein hai sohbai atashe pinhan
Barooye safrah kbabe dil-e-sikender kheench
Killing Master
04-04-2010, 12:17 AM
Husn, gamze ki kshakash se chuta mere bad
Bare aram se hain ahle jafa mere bad
Mansabe saiftagi ke koi qabil na raha
Huie mazolie andaz-o-ada mere bad
Shama bujhti hai to usmein se dhuan uthta hai
Sholai ishqe seeh posh hua mere bad
Khon hai dil ahwale butan per yani
Un ke nakhun huai muhtaj hena mere bad
Der khore arz nhin johare baidad ko ja
Nigahe naaz hai surmein se khafa mere bad
Hai junon ahle juno ke liye agoshe wida
Chak hota hai gariban se juda mere bad
Kaun hota hai hareefe mai murda figane ishq
Hai maker labe saqi pe sela mere bad
Gam se merta hon ki etna nhin duniya mein koi
Ki kare taziyat mahr-o-wafa mere bad
Aaye hai baikasiye ishq pe roona Ghalib!
Kis ke gher jaye ga sailabe bla mere bad
Killing Master
04-04-2010, 12:18 AM
Bla se hain jo ye pashe nazar der-o-deewar
Nigahe shauq kjo hain bal-o-per, der-o-dewar
Wafoore ashk ne kashane kakiya yeh rung
Ki ho gai mere dewa-o-der, der-o-deewar
Nahin hai saya, ki sun ker nawaide maqdme yaar
Gai hain chand qadam badhter der-o-deewar
Huyee hai kis qaderarzani mai jalwah
Ki mast hai tere koche mein der-o-deewar
Jo hai tujhe sare sauday intezar to aa
Ki hai n dokane mtaye nazar der-o-deewar
Hujoome girya ka saman kab kiya mai ne
Ki gir padey na mere paon per der-o-deewar
Who aa raha hai mere sai se to hum sai mein
Huai fida der-o-deewar per der-o-deewar
Nazar mein khatke hai bin tere gher ki abadi
Hamaishah rote hain hum daikh ker der-o-deewar
Na pooch baikhudi aishe muqadme sailab
Ki nachte hai pade ser ba ser der-o-deear
Na kah kisi se ki Ghalib, nahin zamane mein
Haree raze muhbbat, , magar der-o-deewar
Killing Master
04-04-2010, 12:18 AM
Gher jab bana liya tere derb per kahe bagair
Jane ga ab bhi too na mera gher, kahe bagair
Kahte hain, jab rahi na mujhe taqate sukhan
Janon kisi ke dil ki main kiyon ker kahe bagair
Kam uska aa pada hai ki jis ka jhan mein
Laiwey na koi nam sitamger kahe bagair
Ji mein hi kuch nahin hai hamare, wagerna hum
Ser jaei yaar hai, na rahein per kahe bagair
Chodonga main na us bute kafir ka poojna
Chodey na khalq go mujhekafir kahe bagair
Maqsad hai naaz-o-gamzah, wale guftagu mein kam
Chalta nahin, dashnah-o-khanjar kahe bagair
Bahra hon mein mujh ko chahiye dona hua iltefat
Sunta nahin hon bat mukarrer kiye bgair
Ghalib na ker huzoor mein too bar bar arz
Zahir hai tera haal sab un per kahe bagair
Killing Master
04-04-2010, 12:19 AM
Kion jal gaya na, tabe rukhe yar daikh ker
Jalta hon apnni taqate dedar daikh ker
Atash parast kahte hai ahle jahan mujhe
Ser germ nalah haai sharer bar daikh ker
Kaya aabroai ishq, jhan aam ho jafa
Rukta hon, tum ko be sabab azar daikh ker
Ata hai mere qatl ko pur josh rashk se
Merta hon us ke hath mein talwar daikh ker
Sabit hua hai gerdane meena pe. Khoone khalq
Lerze hai mauje mai teri raftar daikh ker
Wahasrata! Ki yar ne kheencha sitam se hath
Hum ko harrese lazzate azar daikh ker
Bik jate hain hum aap mataye sukhan ke sath
Laikin ayare tabe kharidar daikh ker
Zunnar bandh, subhai sad danah tod dal
Rahrao chaley hai rah ko hum war daikh ker
In ablon se paon ke ghbra gaya tha main
Ji khush hua hai rah ko pur khaa daikh ker
Kaya bad guman hai mujh se ki aiene mere
Tooti ka aks samjhe hain zangar daikh ker
Girni thi hum pe berqe tajalli na toor per
Daite hain badah zerf qdah khuwar daikh ker
Ser fodna woh Ghalib shoridah hal ka
Yaad aa gaya mjhe, teri dewar daikh ker
Killing Master
04-04-2010, 12:20 AM
Larazta hai mera dil zahmate mohre darakhshan per
Main hon woh qatrai shabnam ki ho khar biyaban per
Na chodi hazrate usuf ne yan bhi khana arayee
Safaidi deedai yaqoob ki phirti hai zindan per
Fina taleeme terse zindagi hon us zamane se
Ki mjnon lam alif likhta hai deeware dabistan per
Fragat kis qader rahti hai mujhe tashweshe merham se
Bahem ger sulah kerte parah haye dil namakdan per
Nahin aqleeme ulfat mein tomare naaz aisa
Ki pushte chashm se, jis ke na howey Muhre unwan per
Mujhe ab daikh ker abre shfaq alodah, yad aaya
Ki furqat mein teri, atash barasti thi gulisatn per
Bajuz perwaze shauqe naaz, kaya baqi raha hoga!
Qayamat ek hawaye tund hai khake sheesan per
Na lad naseh se Ghalib kaya hua ager us ne shiddat ki
Hamara bhi to akhir zore chalta hai garaiban per
Killing Master
04-04-2010, 12:21 AM
Gila hai, shauq ko, dil mein bhi tangie ja ka
Guher mein maho hua iztarab dariya ka
Ye janta hon ki to aur pasuhkhe maktoob!
Magar sitamzadah zauq khamah farsa ka
Hena pai khizan hai, bahar agar hai yhi
Dwame kulfate khatir hai, aish duniya ka
Game firaq mein, takleef saire bag na do
Mujhe dimag nahi khanda haie bai ja ka
Hunooz mahramie husn ko tarasta hon
Kare hai her bune mo, kam chashme bena ka
Dil us ko pahle hi naaz-o-ada se dai baithe
Hamein dimag kahan husn ke taqaza ka!
Na kaih ki girya ba miqdare hasrate dil hai
Meri nigah mein hai jama wo khraj dariya ka
Falak ko daikh ke karta hon us ko yad Asad!
Jafa mein uski hai andaze kar ferfa ka
Killing Master
04-04-2010, 12:22 AM
Qatrai mai, baski hairat se nafse parwer hua
Khate jame mai, saraser rishtai gauher hua
Aetebare ishq ki khana khrabi daikhna
Gair ne ki aah! laikin woh khafa mujh per hua
Killing Master
04-04-2010, 12:22 AM
Jab ba raqreebe safer yar ne mahmil bandha
Tapishe shauq ne her zarre pe ek dil bandha
Ahle benash ne ba hairatkadai shokhiye naaz
Jauhare aiena ko totiye bismil bandha
Yas-o-ummeed ne yak arbadai maidan manga
Ujze himmat ne tilisme dile saiel bandha
Na bandhe tashnagiye shauq ke mazmon Ghalib!
Garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha
Killing Master
04-04-2010, 12:23 AM
Main aur bazme mai yon tashna kam aon!
Gar main ne ki thi tauba, saqi ko kaya hua tha ?
Hai eik ter jismein dono chidey pade hain
Woh din gai ki apan dil se jigar juda tha
Darmandagi mein Ghalib! Kuch bin pade to janon
Jab rishtah be girah tha, nakhun girah kusha tha
Killing Master
04-04-2010, 12:25 AM
Ghar hamara jo na rotey bhi to weran hota
Baher gar baher na hoat, to biyaban hota
Rangiye dil ka gila kaya, ye woh kafir dil hai
Ki agar tang na hota to parishan hota
Bad yak umre wara, bar to daita bare
Kash rizwan hi dariya ka darban hota!
Killing Master
04-04-2010, 12:25 AM
Na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hoata
Duboya mujh ko hone ne, na hota main to kaya hoata!
Hua jab gam se yon bahees, to gam kaya ser ke katne ka
Na hota gar juda tan se, to zano per dhra hota
Huye muddat ki Ghalib mer gaya, per yad aata hai
Who her ek bat pe kahna ki yon hota to kaya hota?
Killing Master
04-04-2010, 12:26 AM
Yak zarrai zameen nahin bakar bag hai
Yan jadah bhi, fatila hai lale ke dag ka
Be mai, kise hai taqate ashobe agahi
Khinch hai ajze hauslah ne khat iyag ka
Bulbul ke karobar pe hai khandhai gul
Kahte hai jis ko ishq khlal hai dimag ka
Tazah nhin hai nashshai fikre sukhan mujhe
Tiyakiye qadeem hon dode chirag ka
Sau bar bande ishq se azad hum huai
Per kaya karien dil hi ado hai frag ka
Be khoone dil, hai chashm mein mauje nigah gubar
Ye maikadah khrab hai main ke surag ka
Bage saguftah tera bisate nishate dil
Abre bahar, khumkadah kis ke dimag ka!
Killing Master
04-04-2010, 12:26 AM
Woh meri chaine jabeen se game pinhan samjha
Raze maktob bah be rabti unwan samjha
Yak ulfat baish nahin saiqale aiena hunoz
Chak karta hon, main jab se gariban samjha
Sherhe asbabe giraftari khtir mat pooch
Is qadar tang hua dil ki main zindansamjha
Badgumani ne chaha use ser germe khram
Rukh oe her qatrah araq dedai hairan samjha
Ajz se apne ye jana ki woh bad kho hoga
Nabze khas se tapishe shola sozan samjha
Safre ishq mein ki zof ne rahat talabi
Her qadam saie komain apne shabistan samjha
Tha gurezan masrai ya rse dil ta dame maerg
Dafye paikane fiza is qadar asan samjha
Dil diya jan ke kiyon us ko wafadar asad!
Galti ki kih jo kafir ko musalman samjha
Killing Master
04-04-2010, 12:27 AM
Phir mujhe dedai ter yad aya
Dil jigar tashnai feryad aya
Dam liya tha na qayamat ne hunoz
Phir tera waqte safer yad aya
Sadgi haye tamanna, yanee
Phir woh nirunge nazar yad aya
uzro amadgi ai dil!
Nalah kareta tha jigar yad aya
Zindagi yon bhi guzar hi jati
Kiyon tera rahe guzar yad aya
Kaya hi rizwan se ladaee hogi
Ghar tera khuld mein gar yad aya
Aah woh jurate feryad kahan
Dil se tang ake jigar yad aya
Phir tere koche ko jata hai khayal
Dile gam gushtah magar yad aya
Koi werani si werani hai!
Dasht ko daikh ke gher yad aya
Main ne majnon pe ladakpan mein Asad!
Sung uthaya tha, kih ser yad aya
Killing Master
04-04-2010, 12:28 AM
Huie takheer to kuch baise takheer bhi tha!
Aap ate the magar koi ana geer bhi tha!
Tum se baija hai mujhe apni tabahi ka gila
Us mein kuch shaibakhoobiye taqdeer bhi tha
To mujhe bhool gaya ho to pata batla doon
Kabhi fitrak mein tere koi nkhcheer bhi tha?
Qaid mein hai tere wahshi ko tere zulf ki yad
Han kuch ek runj giran bariye zanjee bhi tha
Bijli ek kond gaye ankhon ke agey to kaya!
Bat kerte, ki mein lub tashnai taqreer bhi tha
Usuf usko kahon, aur kuch na kahe khair huyee
Gar bigad baithey to main laiqe tazeer bhi tha
Daikh kar gair ko kiyon ho na kalaja thanda
Nalah karta tha wale, talibe taseer bhi tha
Paishe mein aib nhin, na ferhad ko nam
Hum hi aashaftah saron mein woh jawan meer bhi tha
Hum the marne ko khade pas nah aya na sahi
Akhir us shokh ke terkash mein koi teer bhi tha!
Pakde jate hai farishton ke likhe per nahaq
Admi koi hmara dame tahreer bhi tha
Raikhte ke tum ustad nahin ho Ghalib!
Kahte hain agle zamane mein koi meer bhi tha
Killing Master
04-04-2010, 12:28 AM
Labe khushk der tashnagi murdgan
Ziyarat kadah hon dile azurdgan ka
Hama na umeedi, hama bad gumani
Main dil hon faraibewafa khurdgan ka
Killing Master
04-04-2010, 12:29 AM
To dost kisi ka bhi sitam gar na hua tha
Auron pe hai woh zulm ki mujh per na hua tha
Choda mahe nakhshab ki trah daste qaza ne
Khurseed hunooz uske braber na hua tha
Taufeeq bandazai himmat hai jhan azal se
Ankhon mein hai woh qatrah ki gauher na hua tha
Jab tak ki nah daikha tha qade yar ka alam
Main motaqide fitnai mahsher na hua tha
Mein sadah dil azurdagiye yar se khush hon
Yani sabqe shauq mukarraa na hua tah
Deryai muasi tutunuke aabi se hua khushk
Meira sare daman bhi abhi tter na hua tha
Jari thi, Asad! dage jigger se meri tahseel
Atashkadah, jageere samnder na hua tha
Killing Master
04-04-2010, 12:29 AM
Shab kih woh majlis faroze khiwate namoos tha
Rishtai her shama khare kaswate fanoos tha
Mashhade aashiq se koson tak jo ugti hai hena
Kis qadar yarab !hlake hasrte paboos tha
Hasile ulfat na dikha, juz shikaste arzo
Dil bah dil paiwastah, goya yak labe afsos tha
Kaya kahon, bimari gam ki fragat ka bayan
Jo ki khaya khoone dil, be minnate kaimoos tha
Killing Master
04-04-2010, 12:30 AM
Aiena daikh wo apna sa munh le ke rah gai
Sahab ko dil na daine pe kitana guroor tha
Qadid ko apne hath se gardan na mariye
Us ki khta nahin hai ye mera qusoor tha
Killing Master
04-04-2010, 12:30 AM
kaihtai ho, na dengay hum dil agar pada paya
Dil kahan gum kijie, hum nai muddua paya
Ishq se tabiat nai zeest ka maza paya
Dard ki dawa paye, dard bai dawa paya
Doustdare dushman hai, aitemade dil maloom
Aah be asar daikhi, nalah nar sa paya
Sadgi-o- purkari, baikhudi-o-hushaiari
Husn ko tagaful mein, jurat azma paya
Guncha phir laga khilne, aaj hum nai apna dil
Khun kiya hua daikha, gum kiya hua paya
Hale dil nahin maloom laikin is qadar maloom
Hum ne barha dhondha tum ne barha paya
Shore pande naseh ne zakham par namak chidka
Aap se koi pooche, tum ne kaya maza paya
Killing Master
04-04-2010, 12:31 AM
Dil mera soze nihan se bai muha jal gaya
Atashe khamosh kai manind goya jal gaya
Dil mein zauqe wasle yar tak baqi nahin
Aag as ghar mein aisee lagi ki jo tha jal gaya
Mein adam se bhi parey hon' warna gafil!barha
Meiri aah astin se bal anqa jal gaya
Arz kijiai jo har andaishah ki garmi kahan
Kuch khayal aya tha wahshat ka ki sahra jal gaya
Dil nahin tugh ko dikhata warnah dagon ki bahar
Is chiragan ka, karon kya, farma jal gaya
Mein hon aur afsurdagi ki arzo Ghalib! Ki dil
Daikh kar tarze tapake ahle dunia jal gaya
Killing Master
04-04-2010, 12:31 AM
Dhamki mein mar gaya, jo nah babe naberd tha
Ishq naberd paishai talabgar merd tha
Tha zindagi mein marg ka khatka laga hua
Udne se paishtar bhi mera rung zard tha
Taleef nuskhaai wafa kar raha thamein
Majmuai khayal abhi fard fard tha
Dil ta jigar ki sahile daryae khon hai ab
Is rahguzar mein jalwai gul aage gird tha
Jati hai koi kash-makash andohe ishq ki
Dil bhi agar gaya, to wahi dil ka dard tha
Ahbab charah sazie wahshat na kar sake
Zindan mein bhi khayal byaban naward tha
Ye lashe be kafan Asad khastah jaan ki hai
Haq magfirat kare ! ajab Azad merd tha
Killing Master
04-04-2010, 12:31 AM
Shumare subahe margoobe bute mushkil pasand aya
Tamashaei bah yak kaf burdan sad dil pasand aya
Bafaize baidili naumedi jawed asan hai
Kashayash ko hamara uqdai mushkil pasand aya
Hawaai sair gul, aiena bemahri qatil
Ki andaze bakhon galteedan bismil pasand aya
Killing Master
04-04-2010, 12:32 AM
Daher mein, nakshe wafa wajhe tasalli na hua
Hai ye wo lafz ki sharmindai mani na hua
Sabzai khat se tera kakule sar kash, na daba
ye zamurrad bhi, hareef dame afaye na hua
Mein ne chaha tha ki andohe wafa se chooton
Who sitamgar merai mernai pai razi na hua
Dil guzargahe khayale mai wo sagar hi sahi
Gar nafas jada-e-sar manzile taqwa na hua
Hon tere wada na karne mein bhi razi ki kabhi
Gosh minnat kasha gulbange tasalli na hua
Kis se, mahromia kismat ki shikayat kijiye
Hum ne chaha tha ki mar jayein, so wo bhi na hua
Mar gaya sadmai yak lab se Ghalib
Natwanee se hareef dame iesa na hua
Killing Master
04-04-2010, 12:32 AM
Sataish gar hai zahid is qadar bage rizwan ka
Who ek guldastah hai hum bakhudon ke taqe nisiyan ka
Bayan kya kijeye baidad kawishhaye masgan ka
Ni her ek qatrai khoon danah hai tasbeeh marjan ka
Na aaye satwate qatil bhi mane, mere nalon ko
Liya danton mein jo tinka, hua reesha neestan ka
Dikhaonga tamasha, di agar fursat zamane ne
Mera her dage dil ek tukhm hai sarwe chiragan ka
Kiya aiena khane ka woh naksha tere jalwe ne
Kare jo partawe khursheed alam shabnamistan ka
Meri tamer mein, muzmir hai ek soorat kharabi ki
Huola barq-e-khirman ka, hai khoone garm dahkan ka
Uga hai ghar mein her so sabzai, werani tama shakir
Madar, ab khodne par ghass ke hai mere darban ka
Khamoshi mein nihan, khoon gashtah lakhon arzoain hain
Chirage murda hon, main be zuban gore gareeban ka
Hnooz ek partawe nakshe khayale yar baqi hai
Dide afsurda goya hujrai hai usuf ke zindan ka
Bagal mein gair ki aaj aap sote hain warnah
Sabab kaya, khuaab mein aakar tabassum haai pinhan ka
Nahin maloom, kis kis ka laho pani hua hoga
Qyamat hai shrik alodah hona teire masgan ka
Nazar mein hai hamari jadai rahe fana, ghalib!
Ki yeh shirazah hai aalam ke ajzaie parishan ka
Killing Master
04-04-2010, 12:32 AM
Mahram nahi hai to hi, nawahai raz ka
Yan warnah jo hijab hai, prdah hai saz ka
Range shikastah subhe bahare nazara hai
Ye waqt hai shguftane gulhai naz ka
Too aur sooai gair nazar hai tez tez!
Main aur dukh tari mazah hai daraz ka!
Sarfah hai zabte Aah mein mera, wo gar na main
Tumah hon eak hi nafse jaan gudaz ka
Hain baski, joshe badah se shisai uchal rahai
Her gosai bisat, hai sar shishah bad ka
Kawish ka dil kare hai taqazah kiye hai hunooz
Nakhun pai qarz us girah neem baz ka
Taraj kawishe game hijran hua Asad
Seenah ki tha dafeenai, guhar hai raz ka
Killing Master
04-04-2010, 12:33 AM
Her chund jan gudazi qahro atab hai
Her chund pushte germi-o-tawan nahin
Jaa'n mutrabe tranai hulmimmurid hai
Lab, perdai sanje zamzamai alaman nahin
Khanjer se cheer seena age dl na ho doneem
Dil mein churi chibho ezah ker khonchkan nahin
Hai nanage dil ager atash kadah na ho
Hai adil, nafas az rafshan nahin
Nuksa'n nahin, junoon mein bla se ho gher khrab
Sau gaz zamin ke badle biyaban giran nahin
Kahte ho kaya likha hai teri ser nawisht mein!
Goya jabin pe sajdai but ka nishan nahin
Pata hon us se dad kuch apne kalam ki
Roohul qudus agerche mera hum zuban nahin
Jaan hai bahai bosa, wale kiyon kahein abhi
Ghalib ko janata hai ki woh neem jan nahin
Killing Master
04-04-2010, 12:35 AM
Hum per jafa se, terke wafa ka guman nahin
Ek chaid hai, wo ger nah murade imtehan nahin
Kis munh se shuker kijiye is lutfe khas ka
Pur shis hai aur pai sukhan dermiyan nahin
Hum ko sitam azeez sitam ger ko hum azeez
Na meherban nahin hai ager meherban nahin
Bosa nahin, na dejiye, dashna m hi sahi
Aakhir zuban to rakhte ho tum, girdahan nahin
Killing Master
04-04-2010, 12:36 AM
Meherban ho ke bula lo mujhe chaho jis waqt
Main gaya waqt bhi nahin ho ki phir aa bhi nasakon
Zof mein tanai aghiyar ka shikwah kaya hai
Bat kuch ser bhi nahin hai ki utha bhi na sakon
Zaher milta hi nahin mujh ko sitam ger werna
Kaya qasam tere milne ki kih kha bhi na sakon
Killing Master
04-04-2010, 12:40 AM
Ohde se madhe naaz ke baher na aasaka
Ger eik ada ho to use apni qazakahon
Halqe hain, chashm hai kushadah bsooai dil
Her tare zulf ko nigah surma sa kahon
Zalim mere guman se mujhe munfail na chah
Hai hai, khuda nakerdah, tujhe bewafa kahon!
Killing Master
04-04-2010, 12:40 AM
Aabro kaya khak us gul ki gushan mein nahin
Hai gariban nanuge pairahan, jo daman mein nahin
Zof se ai giryah! Kuch baqi mere tan mein nahin
Rung ho ker udgaya, jo khon ke daman mein nahin
Ho gai hain jama ajzaye nigahe aaftab
Zarre uske gher ki deewaron ke rauzan mein nahin
Raunaqe hasti hai ishq khana weeran saz se
Anjuman be shama hai, ger berqe khirman mein nahin
Zakhm silwane se mujh pe charai jooi ka taan
Gair samjha hai ki lazzat zakhme sozan mein nahin
Baski hum hain eik bahare naaz ke mare huai
Jalwai gul ke sewa, gerd apne madfan mein nahin
Qatrah qatrah eh hiyolahai, nai nasoor ka
Khoon bhi, zauqe derd se farigh mere tan mein nahin
Le gaye saqi ki nakhwat, qulzame ashami meri
Mauj mai ki aaj rag, meena ki gerdan mein nahin
Ho fisher zof mein kaya natawani ki ki namood!
Qad ke jhukne ki bhi gunjaish mere tan mein nahin
Thi waten mein shan kaya, ghalib!kih ho gurbat mein qadar
Be takalluf, hon who mushte khaskih gulkhan mein nahin
Killing Master
04-04-2010, 12:41 AM
Ki wafw hum se, to gair us ko jafa kahte hain
Hoti aayee hai ki achchon ko bura kahte hain
Aaj hum apni parishani khatir un se
Kahne jate to hain, per daikhiye kaya kahte hain
Agle waqton ke hain ye log unhein kuch na kaho
Jo mai-o-naghmah ko andohruba kahte hain
Dilmein aajate hai, hoti hai jo fursat ghash se
Aur phir kaun se nale ko rasa kahte hain
Hai pere serhade adraak se apna masjood
Qible ko ahle nazar, qiblak numa kahtein hain
Paye afgar pe jab se tujhe rahm aya hai
Khare rah ko tere hum mohre giya kahte hain
Ek sharer dil mein hai, su se koi ghabraye ga
Aag matloob hai hum ko jo hawa kahtein hain
Daikhiye lati hai us shokh ki nakhwat kaya rung
Us ki her bat per hum name khuda kerte hain
Wahshto shaifta ab mersiys kahwein shayad
Mer gaya ghalibe aashaftah nawa kahtein hain
Killing Master
04-04-2010, 12:42 AM
Woh firaq aur woh wisal kahan
Woh shab-o-roz wo maah-o-sal kahan
Fursate karobare shauq kise
Zauqe nazzarai jamal kahan
Dil to dil woh dimagh bhi na raha
Shore saudaye khat-o-khaal kahan
Thi woh ek shakhs ke tasauur se
Ab woh ranaiye khayal khan
Aisa aasan nahin lahoo rona
Dil mein taqatr jiger mein haal kahan
Hum se chota qumar khanai ishq
Wan jo jaein girah mein maal kahan
Fikre duniya mein ser khpata hon
Main kahan aur ye wabaal kahan
Muzmahil ho gai qawa Ghalib !
Woh anasir mein aitedal kahan
Killing Master
04-04-2010, 12:43 AM
Mujh ko dayare gair mein mara watan se door
Rakhli mere khuda ne meri baikasi ki sherm
Woh halqah hai julf kameen mein hain, ai khuda!
Rukh lijio mere dawe warastagi ki sherm

Loon dame bakhte khaftah se yak khuabe khosh wale
Ghalib ! ye khauf hai ki khan se ada karoon
Killing Master
04-04-2010, 12:43 AM
Bah nalah hasile dilbastagi frahum ker
Mataie khanai zanjeer juz sada maloom
Killing Master
04-04-2010, 12:44 AM
Gham nahin hota hai azadon ko baish az yak nafas
Berq se krte hai raushan shamai matam khana hum
Mahfilein berham kere hai ganjafa baze khayal
Hain waraq gerdani neerune yak but khanah hum
Bawajood yak jahan hangamai, paidayee nahin
Hain chiraghane shabistane dile perwanah hum
Zof se hai ne qanaat se ye terke justajo
Hain wabale takiyah gahe himmate merdana hum
Daim-ul-habas is mein hai lakhon tamannaein Asad!
Jante hain seenai pur khoon ko zindan khanah hum
MajKhan
08-04-2010, 12:05 AM
ghalib ki shaheri ki kia baat he thanks
MajKhan
08-04-2010, 12:17 AM
http://www.hallagulla.com/urdu/photo/data/1772/saraiki_mirza_ghalib.jpg
MajKhan
08-04-2010, 12:24 AM
http://www.views.pk/wp-content/uploads/2008/10/ghalib2.jpg
Killing Master
08-04-2010, 02:06 AM
thnx alot dear
MajKhan
10-04-2010, 04:43 AM
http://bagewafa.files.wordpress.com/2009/06/thnadamakan-haigalib.jpg
Killing Master
14-05-2010, 12:08 PM
Hina ka rung hoon main, Hath pe to aaunga..
Utar gaya to mehek apni chhor jaunga..

Ghazal ka sher hoon, Dil ki kitaab mein likh lo..
Bhula diya to kabhi Yaad bhi na aaunga..

Tera hi aashiq-e- Tamana hoon, rok lo Mujh ko..
Main aik din Teri Palkon pe jagmagaun ga..

Khuloos-e-Dil se Sada di agar kisi ne Mujhe..
Gai Bahaar ki tarha lot aaunga..

Dilon ka Dard agar koi na samjha ! Faraz !
Main patthron k zamaney mein lot jaaunga
Devil King
17-06-2010, 06:13 AM
boht khoob dear

Ghalib ka poora Deewan e chaap dala

No comments:

Post a Comment